Saturday, August 14, 2010

Zindagi

this ws in class 12th..while i ws studying biology,..i think genetic coding or something..i started pondering over life rather..n this came in at around 1'o clock night..23May'05..n then,,i closed my book n slept..bt nt really..i ws still thinkin about life na..and ofcourse i could hv but only concluded life to be beautiful ,,...then ..nw..n ..frever !!!
  


ZINDAGI

Apne hone ka ham bhi sabab dhoondte the
Waqt-bewaqt Zindagi tera matlab dhoondte the
Sochte the haqiqat ya mohabbat ho hamari
Dhadkano ka sach ki zaroorat ho hamari

Khuda ki ibadat, paakizgi ki had
Hasrat duaon kee, ki junoon ya maksad
Manzil ho, raasta ho ya taqdeer hamari
Khwahish, ki tamanna ya ho tadbeer hamari

Jannat ka ho ehsaan ya insaan ki daastaan
Khoobsoorat khwaab ya masoom se armaan
Koi raaz ki kashish ya ho zameen hamari
Falak ho ki sehr ya ki ho yakeen hamari

Mehfil bayaan kare, ya kahen tumko saadgi
Nazar, mann, zubaan, khumaan, bekhudi ya taazgi
Pyaar ho, ya rab, ki aarzoo ho hamari
KhushKismati, mazhab, ya justujoo ho hamari

Ek martabah ki cheez, ki naacheez-si saugaat
Qayamat ka saath, ya ki bas ek umr ke jazbaat
Allah ki suhbat ho, ki kismat ho hamari
Ya waqt ke aagosh me neeyat ho hamari

Imaan, Ishq, Dosti ka ya ki aqs ho
Nemat ho Khuda kee, ki aabid ka raqs ho
Ya ki Zindagi Khayal Aakhiri ho tum
Zindgaani ka Sawaal Aakhiri ho Tum ...



love life..live life ..life iz beautiful !!

our yawning social gap

udhar Ek rastaaaA : ..jahan Aag thodi...
Wahan zZindagi ka alag hi nazara,,Ki khamOsh ghar me hai Bistar Zameen aur chhat(roof) hai jahan aasmaN ka sahara..
na aAnkhon me sapne ,na halchal jisSm me:Na dil me kisi 'Ram' ka hai thikana,,
Wahan SacH hai 'suraj'..Shaam takk zzindagi hai; ..pet(stomach) bharna, haqiqat hai khana jutana

Yahan..
bachchon ke kandhon pe Basta(bag) nahi hai ..Zubaan par paRi ki kahani Nahi hai,
naA taaron pe charrh karke dil naachta hai..kahinN raQt(blood)me kuchh rawani(josh) nahi hai !!

Kii..
Dill chahtaa na zubaan bOlti hai..sshikann bhedd kuchh bhi nahi kholti hai;
paseena bachata Sirff(only) apna 'paani'(izzatt),Hai umMeed ki aAzmaaish jawani !!

Hai bachpanN guzarta yahan par Sifar(shunya/void)me..Jawani adhar me.. phikar(tension)se budhape(old age) ki jadDozahad(struggle) hai;
PahanNe Naa padhNe ki parwaah-chinta..Bass zinNdigani nibhane ki hadd hai...!!

..Numaaish-bhar Ek Rassmm(rasm:custom)ki : Rassmm zZindagii Ka; khatam Dekho ho ye rassm kitni Jaldi.........?
Wahi RaastA ki Jahan aAag thodi :Idhar usSe aAnkhen ho namM kitni jaldi ,, !
..idhar usse aankhen ho nam kitni jaldi..!!

[nw this ws basically on the gr8 divide the Indian continent suffers..our so uncaring attitude towards all this.. n the related issues which myt haunt the nation in retrospectiv !!]

by Me ..on 23rdJan,07/Saraswati Puja